Aalam na poochiye jo hamaara hai aaj kal
Kashti bhanwar may door kinaara hai aaaj kal
Tere hi ghum ka dil ko sahara hai aaj kal
Bekaif zindagi bhi gawaara hai aaj kal
Allah re inqalaab ke ek baada’ khwaar ka
Do chaar aansoonwon pe guzaara hai aaj kal
Yeh daur-e-mahtaab yeh rang-e-shab-e-bahaar
Fitrat ne gaisoowon ko sanwaara hai aaj kal
Ek baar keh ke phir yeh zabaan se na keh sakey
Hum jiss ke hogaye, woh hamaara hai aaj kal
Baqi raha tha zinda dilon mein bas ek shakeel
Woh bhi ghum-e-firaaq ka maara hai aaj kal

No comments:
Post a Comment